Monday, July 22, 2013

Waqt ki Nazakat..



Voh andheri raatein,
Aur unki kaali surang,
Hum baithte hai un main,
Karte hue baatein aur bharte zindagi main rang.

Yaha yeh, aur vaha voh,
Gappe marte nikalta hai samay hamara,
Aur tumse baat na ho paye toh,
Darr lag jaata hai hume tumhara.

Waqt guzarta hai aise hi roj,
Par khuda jaane kya hoga jab kar na payenge hum yeh mauj.

Vohi darr sach hua kuch samay main,
Aur jald hi takra gaye jindagi ki tez raftaar se hum,
Cheena gaya humse hamara mazaa palon main,
Aur bichad gaye hum.

Voh raatein ho gayi suni,
Aur din ho gaye tez,
Zindagi na rahi utni khili hui,
Aur na rahe uske rang.

Voh haule haule bhari huyi surang,
Ho gayi fir se khali,
Aur voh suhani raaton ki sukh gayi lali.

Yehi hai kahani zindagi ki,
Isliye puja karo waqt ki,
Kyunki naa rukega kabhi voh,
Aur naa hi kabhi rukne dega tumko.

PS: Comments please, this is my first trial at writing something in Hindi..

5 comments:

  1. Nice one...It is a good attempt...liked the post..

    ReplyDelete
  2. I love reading in Hindi and While reading this It didn't felt like you first attempt..Kudos.. ;-)

    ReplyDelete
  3. well expressed .. very nice kavita !! times keep you moving .. u cant stop !!

    ReplyDelete