Yeh hai duniya,
Yeh ajeeb duniya,
Hai yeh jaisi bhi,
Hai yeh apni duniya.
Jeevan hai isme,
Aur kahin hai maut,
Aa jaye kahin gham,
Par khushi aa jaati hai laut.
Sach hai isme,
Aur kahin hai jhut ke daag,
Saath mil jaata hai hamesha,
Kyunki duniyadaari ki sada hai ek aag.
Yeh hai duniya,
Yeh ajeeb duniya,
Hai yeh jaisi bhi,
Hai yeh apni duniya.
Andhera hai kahin,
Aur mandrata hai ek kaala saaya,
Par hoti hai subeh hamesha,
Aur dikhta hai ujala chaaya.
Rok hai yahan anek,
Aur hai kayi zanjeer,
Vijay ke liye chaiye shakti,
Aur ek taakat jo sabko rakhde cheer.
Yeh hai duniya,
Yeh ajeeb duniya,
Hai yeh jaisi bhi,
Hai yeh apni duniya.
Hai kayi guthiyan,
Jo samajh nahi ayengi kayi baar,
Par aage badhna chaiye hamesha,
Aur nahi maanni chaiye kabhi haar.
Ekal aur shanti hai kahin,
Aur kahin hai shor bhayanak,
Jarurat se mile zingadi mein yeh,
Aur badle yeh ek dusre mein achanak.
Yeh hai duniya,
Yeh ajeeb duniya,
Hai yeh jaisi bhi,
Hai yeh apni duniya.
Sab chalte hai iske ishaare pe,
Bhale sahi ho ya galat,
Isse koi nahi khareed sakta,
Chahe ho kitni bhi daulat.
Hum hai bande uske,
Bass choti si katputliyan,
Bass karna hai jo voh chaahe,
Kyunki sarvshaktishaali hai yeh duniya.
Yeh hai duniya,
Yeh ajeeb duniya,
Hai yeh jaisi bhi,
Hai yeh apni duniya.
awesome, Karan! :)
ReplyDeleteThank you Aayesha...:)
DeleteApni ajeeb duniya
ReplyDeletepyar ki duniya
Mar mitthe hain
ek duje ke liye !!!
A really well written poem Karan, looking forward to read more :)
ReplyDeleteGlad you liked it Ritika...:)
DeleteKeep visiting..!!
Liked it very much Karan..yes.. the world is beautiful..in spite of all its madness and cruelty...:-)
ReplyDeleteGlad you liked it Ma'am...:D
DeleteAha... very nice Karan :)
ReplyDeleteThank you Ma'am..:)
DeleteNicely done karan :)
ReplyDeleteThank you Bhavya...:D
DeleteAjeeb ho chahe gareeb, yehi hai apni duniya. Good one, Karan! :-)
ReplyDeleteThank you Ma'am..Glad you liked it...:)
DeleteOne of the best from you Karan :-)
ReplyDeleteThank you Ma'am...Glad you liked it...:)
Delete