Monday, January 5, 2015

Dooriyan Bhi Hai Zaroori



Hun door tumse aaj,
Bichde hai dono ek dusre se,
Chale hai iss raah par, ajeeb si, alag si,
Hai yaadein saath,
Har bitaya hua lamha lautta hua,
Nayi jagah ki hai khushi,
Par hai gham sirf ek- tum,
Chaayi hai tanhayee tumhare bina,
Hun akela tum bin,
Chaayi hai bechaini in dhundle raasto mein,
Hai muskaan uss dard mein par,
Saath ki kiran hai dikhti,
Ayegi khushi lautke, aur honge hum sath,
Pal ko jeena hai, kat jayenge yeh pal,
Ek pariksha hogi yeh hamari,
Aakhir dooriyan bhi hai zaroori.

6 comments: