Friday, June 26, 2015

Armaan



Kuch lamhein hai jo yaadon mein badal jaate hai,
Mitte nahi yeh pal hai jo, par labon pe muskaan voh chalkaate hai,
Khilte hue chehre ki roshni mein chamakte sapne,
Tanhayee se bhaag kar sachai mein bandhe,
Unn sapno ki hai baat, unn khwabon ki hai baat,
Likhe hue shabd hai voh jo zindagi mein rang bharte hai uss syahi se,
Har sama lautta nahi, bass chalta rehta hai,
Yeh dost aur voh dooriyan, bass ek soch se bandhe hai,
Khayalon mein basti hai yeh duniya,
Aur fehel jaati hai khushi jab armaano se zindagi likhi jaati hai.

No comments:

Post a Comment