Sunday, September 29, 2013

Insaaf



Suhani si thi voh raat,
Jab aaya muhje ek khayal karte hue baat,
Ke zindagi legi aisa sangin mod,
Aur bachega nahi uske liye koi aasaan tod.

Kahani padhke ki maine jaanch,
Aur kaha ke unke pyar mein ayegi aanch,
Aa raha tha kirdaar ek naya,
Unke pyar par nahi karne vala tha daya.

Hazam nahi hui unko yeh kahani meri,
Isliye mere samne laga di tikhe lafzon ki dheri,
Ho gayi garma garmi aur nok jhok,
Lag gayi mere shabdon par rok.

Pahunchi nahi mere dil ki bhavna un tak,
Isliye cheena gaya mera bolne ka haq,
Thi yeh meri kalpana choti si,
Jispe lag gayi zanjeer moti si.

Alag sochneki ho gayi thi mujhse galti,
Upaay jald hi mila mujhe jaise chandni gayi dhalti,
Nahi batayunga ab main iss duniya ko,
Voh rangin sapne naa hi voh khayalon ko.

Desh deta hai dil se bolne ki aazadi,
Par jo aisa kare uski hoti hai barbaadi,
Bolne se acha lagta hai ab karna dimag ko saaf,
Kahan kho gaya manushya ka insaaf?

9 comments: