Tuesday, October 28, 2014

Toli Yeh Meri



Samay ka pehlue, hai yeh zindagi,
Waqt ka paigaam, hai yeh bandagi,
Soch pe basti hai sirf yeh duniya,
Saaf ho bandhan, toh nahi hogi kahin gandagi.

Shuruat hai ajeeb si iss kavita ki,
Par hai khayal, koi aur, bhaavna, koi aur,
Banani hai pehchaan, khudki,
Nahi chaiye kuch mujhe, jab ho saath tum,
Bass tum, mere dost.

Kahaani hai, yeh badi si,
Shuru hui hai, par nahi hogi kabhi khatam,
Challenge raaste, aur saath uske, hum,
Haath mein haath dhare, liye shakti,
Ungli pe ungli rakhe, banaye hue mutthi,
Atut hai hum, ek toli, majbut.

Koi hai sher, garam sa,
Toh koi hai sehma sa bacha,
Koi hai kalakar, rangeen,
Jitne bhi hai hum alag,
Par utna hi bandhan hai apna sangeen.

Padhta hai koi, likhta koi aur,
Hasata hai koi, par rulata nahi, koi,
Hote hai matbhed kabhi, aur jhagde bhi,
Par saath agle kshan hai hum,
Misaal ekta ki, hai yeh apni.

Milte hai khayal, aur apne sapne,
Hai nahi hum mein koi antar,
Nahi ahankar anar, na hi krodh,
Chale hai saath, badalne yeh apna daur.

Naam nahi hai hamara,
Par hai kalpana anek,
Karna hai sab kuch, har kaam,
Hasta chehra rakhe, dabate nahi,
Uss muskurahat ko, unn aankhon ki ronak ko.

Chale hai saath, aaj hum uss raah par,
Dosti ki kasam diye, ek dusre ko,
Rahenge saath, yeh chaah hai meri,
Pyaar ho tum sab mera, karib dil se mere,
Lage hai aaj jaise, hai sirf,
Mein aur meri yeh sundar toli.

No comments:

Post a Comment