Behka hua hai mann,
Aur sehemi hai yeh saansein,
Daud rahi hai tez yeh ghadi,
Aur ban rahi hai nayi yaadein.
Suhane pal hai yeh zindagi ke,
Saath tumhare aur tumhare bin,
Lamhe hai yeh behtareen,
Aur tezi se kat rahe hai din.
Saath tumhara hai priya,
Aur hai dosti pyaari,
Waqt tumhara hai kimti,
Bass tum ho puri nyaari.
Tumhare sang ki hai zarurat mujhe,
Nahi hona tumse kabhi juda,
Ho tum sabse shreya,
Isliye rehna hai saath tumhare sada.
Tum ho ek kaaran,
Meri muskurahat ka,
Aur tum hi ho kaaran,
Nayi subeh ki chaahat ka.
Sama raha hai khushnuma,
Par baaki hai anek kshan,
Raho tum hamesha saath,
Toh hasta rahega yeh mann.
Shukriya aur maafi,
Rahe hai paas, par hai door,
Lagta hai mujhe ke,
Tumhare saath ke liye hun main majboor.
Voh chanchal hasi,
Aur haseen tumhara chehra,
Madhur tumhari boli,
Aur dil tumhara khushiyon se gehra.
Karti raho mera mazak,
Aur dikhati raho mujhe sahi raah,
Raho tum sada paas,
Bass vohi ek chaah.
Ho tum sirf ek is jag mein,
Nahi bana tumhare jaisa koi aur,
Bitate rahe hum saath samay,
Aur kabhi nahi ho khatam hamara daur.
God bless friendship & poetry
ReplyDelete:)
Nice post
Thank you Sir :D
DeleteKeep visiting..!!