Sunday, November 24, 2013

Kal Na Jaane Kya Hoga



Aaj sirf hai thandi hava,
Aur yeh khula aasmaan,
Kal na jaane kya hoga,
Kaisa hoga sama?

Haseen pal yeh zindagi ke,
Kat rahe hai dheeme dheeme,
Fir ayenge kab nahi hai pata,
Par ruke nahi voh chahu main dilse.

Aaj sirf hai thanda pavan,
Aur yeh suhana gagan,
Kal na jaane kya hoga,
Ho jayenge kya hum magan?

Tum ho mere paas,
Par nahi ho mere saath,
Kab ayega voh sama,
Jab hum honge haathon mein haath.

Aaj sirf hai khamoshi,
Ek bechain si shanti,
Kal na jaane kya hoga,
Kya laut ayegi voh hassi?

16 comments: