Inn andekhi
raaho pe mil gayi thi nazren,
Uss chup si
aandhi mein bhi ho gayi hazaron baatein,
Nigaho mein
behti hui dil ki awaazein,
Uss udasi mein
ubhar kar bhi muskurahat si laayi,
Andhero mein
faasle bayaan ho gaye,
Tere chehre ki
ronak se ek nayi subeh ho gayi,
Raasta chalta
gaya, kabhi upar, kabhi niche,
Lete gaya voh
apne mod par tha ek saath,
Mudna nahi tha
har pal se, bhulna nahi tha kisi lamhe ko,
Bass karna tha
paar har toofan ko,
Hasna tha,
khilkhilana tha, jeena tha zindagi ko,
Raat ke uss
daravne sapne mein bhi chaa gayi ek umang,
Haathon ki
lakire jab keh gayi apni daastan,
Shabd na bayan
kar sake voh kahani,
Dil hai sehma
sa, mann hai chupa sa,
Aur bass aankhon
mein hi ho jaati hai har baat.
No comments:
Post a Comment