Monday, August 3, 2015

Ek Adhuri Kahani



Nikal pade sapno ke piche,
Banane khud ki raah iss zindagi ke daur mein,
Dekha na kabhi chehra tera,
Par palken jab bandh hui tab thi tum,
Kat gaya sama uss tanhayee mein,
Samay ne bhi lagayi vohi zindagi ki daud,
Thaam liya haath kabhi, aur kabhi unhi haathon ko thaam liya,
Choot gaye saath kayi, kuchal gaye waqt ke paigaam mein,
Unn aasuo ko ponchh kar chalte rahe akele,
Gham ke aanchal mein lipat ke soye chandni ke tale,
Jala diya tha chirag uss andhere se duur rehne,
Par vohi roshni nighal gayi voh khushi,
Yaadein jab chaa gayi har lamhein mein,
Chehra voh mehka aankhon ke saamne,
Khilkhilaya yeh dil, roya voh khudke liye, tumhare liye,
Khinch kar le aaya tumhare dar pe,
Khatam ho gayi har kahani jisse lekar chale the,
Reh gayi bass tum, ek adhuri kahani.

No comments:

Post a Comment