Iss khamoshi ki
leheron mein pighal raha hu mein,
Beh raha hun
aaj, nahi hai pata manzil ka,
Tanhayee main
beete unn lamhon ko yaad karke muskurata hu mein,
Ek khushi thi
uss behoshi main,
Par thi saath ek
bechaini jo uss waqt main dariya bana rahi thi,
Lehraati zindagi
ki parchayi main sehem raha hu mein,
Raah ka nahi hai
pata iss toofan main,
Boondon mein
jhalak raha hun,
Par nahi dikh
raha hu khudko,
Khoya hai raasta
aur khoya hun mein,
Raah hai kayi
nazron main, par hai pare iss pal se,
Samay ka nahi
hai pata, kyunki dhund raha hu khudko mein.