Sunday, July 19, 2015

Ek Anokhi Muskaan



Ek lamha mayusi ka tha voh,
Jisne di hai aaj badi si muskaan,
Ubhar kar saaye se takraye the hum,
Chal pade iss zindagi ke daur mein haath dhare,
Shabd nahi hai uss pal ko dauhrane ke liye,
Par saji hai kahani unn unkahe labzon ke bich,
Chupi hai aaj ki muskurahat mein,
Beh rahi hai voh aaj bhi uss din ki yaadon mein,
Anjaan the hum par naadan nahi,
Khoye hue the hum par duur nahi,
Faasle mite aur ghum bhi,
Ban gaya tha ek saaya jo chalta hai aaj bhi saath,
Saval hai kai par javab hai nahi,
Uljhi hui hai dor yeh, hai chupi inn aankhon se,
Samajh se pare, iss soch se milon duur,
Par chaa jaati hai khushi,
Aa jaati hai labon pe muskaan tumhare khayal se hi,
Aur mann yeh keh deta hai,
Kuch chize hoti hi hai anokhi, shabdo se duur, aur samajh se bhi,
Par nahi hai iss baat se shikwa kyunki paas ho tum.

6 comments: