Paas nahi hai hum,
Ho tum bahut door,
Saath dekhe the jo sapne,
Voh ho gaye sab choor.
Thi apni ek duniya,
Jisme the hum tum saath,
Nahi raha ab kuch aisa,
Aur hai bass andheri raat.
Ruka hun yahi,
Tere jaane ke savaal mein,
Doobta jaa raha hun,
Tere lautne ke khayal mein.
Tham gaya hai waqt jaise,
Aur nahi dhalti yeh shaam,
Teri yaadein hai sirf chaayi hui,
Aur nahi hota kuch kaam.
Dhunde yeh nazrein tujhe,
Chupi hai tu kahan,
Mann ka boj kam nahi hota,
Lagta hai sada rahunga yahan.
Voh pal kab ayenge vapas,
Sochke yeh mein ho jayu gumsum,
Prashn ek hi rehta hai,
Ke kahaan ho tum?
Good one !!!
ReplyDeleteThank you Ma'am...glad you liked it :)
DeleteKeep visiting..!!
from somewhere SRK will come and will say - main yahan hun yahan hun yahan hun yahan :)
ReplyDeleteHahah...well said Sir..:D :)
DeleteKeep visiting..!!
Very good. You should write it in devanagari to I feel
ReplyDeleteSure Sir...will take care next time..:)
DeleteKeep visiting..!!
loved it, Karan :)
ReplyDeleteThanks Aayesha...glad you liked it :D :)
Delete