Saturday, April 12, 2014

Kahaani Desh Ki

Hai yeh ek kahani,
Ek naye daur ki,
Sudhar jaani chahiye zindagi,
Kursi par aane pe uski.

Soch hai yeh nai,
Ke badle apni duniya,
Hai sirf yeh icha,
Ki bhaga de voh kaala saaya.

Hai teen naam,
Uss kalpana ko rang dene,
Chun na hai unme se ek,
Apne desh ko aage le jaane.

Ek ko karni hai safaai,
Aur ek ko chahiye development,
Tisre ke piche hai RTI,
Aur women empowerment.

Shawl hai maathe pe baandha,
Aur peheni hai Gandhi topi,
Hai voh AAP ke liye khada,
Usne hai janta ki mushkil naapi.
 
Agla hai shehzaada,
Jaise bulate hai usse kayi log,
Baat voh sirf chaar karta hai par,
Youth icon kehlane ka chada hai usse rog.

Kehta hai bhai behen aur mitron,
Jab aata hai bolne voh,
Chai pilake baat karta hai sabse,
Uska naam hai alag, voh hai NaMo.


Yeh teen hai sabse upar,
Unke niche hai log anek,
Rape aur badle ki baat karte hai voh,
Nahi jodna unko desh, nahi karna usse ek.

Chunaav karna hai ab aapko,
It’s now only your decision,
Vote karna hai bass,
So do it with precision.

Yeh hai apne desh ki kahani,
Jo badlegi hamare kehne pe,
Lagake aao syahi apne haath par uss ek din kyunki,
Desh nahi badega aage ghar pe baithe rehne pe.


6 comments:

  1. Lets vote... Good message conveyed. I too wrote a humor post here is the link
    Janta Maaf nahi karegi
    http://neoimaginations.blogspot.in/2014/03/janta-maaf-nahi-karegi-humour.html

    ReplyDelete
    Replies
    1. Great post...just read it :)
      Keep visiting Sir..!!

      Delete
  2. Nice one.
    Surprised to see Kursi cricket on the last. Has anyone tried it? A nice game.

    ReplyDelete
    Replies
    1. That was one of the only pics I found of the 3, so I posted it :P
      Haven't tried the game yet though..:P
      Glad you liked the post Sir :) :D

      Delete