Saturday, August 2, 2014

Chaar Lafz Duniya Ke



Aaya mujhe saval,
Uss suhani raat mein,
Apni iss duniya ka,
Jiska javab na tha,
Aur nahi tha raasta.

Pucha meine khudko,
Desh ke bare mein,
Aur iss duniya ke bhi,
Jisme hai voh gandagi,
Aur kam hai bandagi.

Nahi tha filhaal hal,
Par dikha mujhe kuch,
Ajeeb tha par anokha,
Jo bass gaya aankhon mein,
Aur behne laga jo labzon mein.

Mehengayi aur brashtachar,
Base hue har nukkad par,
Aur ho arhe gunaah hazaron mein,
Ghane kale saaye mandhraye,
Aur bass voh thandi hawa.

Hum nahi they aise,
Toh hua kaise yeh bura haal,
Bigad gaye kyun yeh log,
Aur badly kaise yeh duniya,
Saval tha yeh, aur fir bujhi voh paheli.

Waqt ka tha paigam,
Aur tha uska aadesh,
Uski hi thi saazish,
Failini thi nafrat,
Aur bhadkana tha har dil ko.

Jawab aasaan tha,
Aur mila mujhe ek raasta,
Ek raah chalne iske khilaaf,
Aur they bass 4 lafz,
Gaane ke liye, gungunane ke liye,
Aur samajhne ke liye voh kathin raaz,
Yeh duniya pittal di,
Yeh duniya pittal di.

2 comments: