Monday, December 16, 2013

Tanhayee



Yaadon ka khazana liye baitha hun,
Iss shant raat mein,
Tum hi chaaye ho dil aur dimag pe,
Aur hai ek tanhayee.

Ajeeb lamhe hai yeh andhere mein,
Jisme tum ho mere sath,
Jab tak aankhen hai bandh,
Aur fir hai ek tanhayee.

Voh piche bajte hue gane,
Aur voh haseen dhun,
Ruk jaate hai apne samay par,
Aur fir hoti hai ek tanhayee.

Voh chamakti raunak chubti hai nainon ko,
Aur cheenti hai unn nazron ko,
Nai dikh paata kuch uss ujale mein,
Aur dil pe lagti hai ek tanhayee.

Hawa ka jhoka lagta hai gaalon par,
Jaise koi haseena ka pyara tamacha,
Par rok deta hai duniya ko voh thanda pavan,
Aur chaa jaati hai ek tanhayee.

Tumhara khayal aata hai uss samay mein,
Jaise sukhe mein paani,
Par voh mrughjal chus leta hai unn chalti saanson ko,
Aur ragon mein basti hai ek tanhayee.

7 comments: