Friday, July 18, 2014

Dil Toh Bacha Hai Ji



Ho din ka ant,
Ya ho khatam yeh mahina,
Ho jaaye pura voh pehla path,
Ya mil jaaye koi badi degree,
Ho jaaye padhai,
Aur likhai zindagi ki,
Par hai ek jo nahi badle kabhi,
Yeh dil toh bacha hai ji.

Ho jaaye zindagi ke saat saal,
Ya pure ho saath,
Khelo voh bachon ki shatranj,
Ya puri ho zindagi ki daud,
Rahe voh sukun chehre pe,
Ya aa jaaye maathe pe shikan,
Hai ek jo badlega nahi sada,
Dil toh bass bacha hai ji.

Mile voh pehli tankhwa,
Ya fir mile voh aakhri pension,
Bane voh pehli yaad maidan mein,
Aur jab yaad aaye vohi suhana din,
Aaye duniya mein voh choti kiran,
Ya bujhe voh jhilmilata diya,
Voh ek hi hai jo rahe vahi,
Dil toh bacha hai ji.

Rakho voh pehle kadam,
Yaa badlo zindagi ki raah,
Karo apni pehli icha,
Ya puri karo apne bache ki chaah,
Muskurana bass zaruri hai,
Aur zaruri hai behelana isko,
Maanta nahi aasaani se yeh,
Isliye has do zara,
Kyunki dil toh bacha hai ji.

2 comments: